Tut raha hu fir bhi khada hu, e zindagi me tumse ab bhi juda hu


Zimmedariya jab aati hai sir par 
Tab ehsaas hota hai ki zindagi ka bhaar bhi bahut jyada hota hai.  Kabhi kisi ne socha bhi na hoga ki kandhe pe jab bhar badhta hai to asar sidhe mann par hoti hai.
Sab zimmedariya hote hue bhi muskurana padta hai. Mann par bhaar hote hue bhi muskurana zindagi sikha deti hai.

Humari  zindagi sukhe hue ped si hoti hai
Us apne saakho ko jude rakhne ki zimmedari hoti hai, sabhi saakhe roj ek ek karke tut jaati hai par fir bhi ped khada rehta hai kyuki us par ab bhi baki sakho ko sabhalne ki zimmedari hai. 
Me bhi kuch aisa ho gya hu
Tut raha hu fir bhi aise hi khada hu .
E zindagi me tumse ab bhi juda hu

Read more posts like this on Instagram

No comments:

Post a Comment